Hinglaj mata ya hinglaj rani ka mandar district lasbela me Hingol National Park men be aab o giyah paharon men waqia he. Mazkoora mandar Hindu mazhab ki ek muatbar ibadatgah k taur pe Jana jata he. Riwayat k mutabiq bhagwan Shiva k bv "Sati" apne bap ki marzi k khilaf Shiva se shadi krti he jis pr sati devi ka bap prajapati sati devi aur Shiva se naraz ho jata he aur is masle k silsile men tamam devta'on ki ek meeting bulata he mgr sati devi aur Shiva ko nahen bulata. Sati wahan binbulae pahunchti he magar bap use nazarandaz kr deta he jis se sati devi dilbardashta ho k apne ap ko muqafas aag men phenkti deti he. Is waqia ki khabar jb Shiva ko hoti he to wo us meeting men pahunch use tahis nahis kr k sati k bap prajapati ko qatal krta he aur wahan eh mazhabi raqs "Shiv Dandav" shuru krta he jiski waja se zameen pe zilzile ana shuru hojate hen jise ek aur devta "Vishnu" aa kr rokta he aur Sati devi ki ladh k 52 tukre kr k 52 places pe phenk deta he. Riwayat k mutabiq unhi 52 tukron men se sati devi k sir ka ek tukra moujooda hinglaj k paharyon men girta he. Hindu mazhab k log teerth (holy pilgrimage) k lye hr sal April men 4 din k lye yahan aate hen aur apne man ko shanti dete hen. Hinglaj mata ka mandar Karachi se 200km door Makran coastal highway pr waqia he.
No comments:
Post a Comment